KYA AAP APNE MOBILE PAR HINDI PADHNA CHAHTE HAIN?
यह पोस्ट उन साथियों को लक्ष्य बनाकर लिखी जा रही है हैं जो अक्सर अपने मोबाइल पर हिन्दी पढने में असमर्थ रहते हैं! इसीलिए इस पोस्ट को हिन्दी के बजाय रोमन हिंदी में लिखा जा रहा है!
1. Pahle do cheejen janana jaruri hai ki kya aapke phone me OPERA MINI instal hai ? yadi han to bahut aasaan upaay neeche comments me diya hai. un phones me jinme hindi samarthan nahin hai kam se kam is bahaane hindi padhi to ja hi sakti hai. halaanki likh abhi bhi aap nahin sakte.
2. Yadi aapka phone google ke ANDROID par kam karta hai to us par hindi dekhne ke liye uska jugaaad thoda alag hai. uska jikr comments me hai.
hamaara lakshy hai ki sabhi saathi mobile ho ya laptop ya fir desktop ........sab me hindi padh saken.....aur samooh ki posts ka laabh utha saken!
Praveen Trivedi : yadi aapke phone me OPERA MINI hai aur us phone me hindi nahin dikhti yaa akshar idhar udhar dikhte hain to aap is jugad se hindi dekh sakte hain:
kripya nimn step karen:
1- sabse pahle OPERA MINI kholen.
2- uske baad URL BAR (.....matlab jahan www. type karte hain) par jaakar www. sab mita den.
3 sab kuch mitaane ke bad vahan type kare config:
4- dhyan den keval config: hi type karna hai kuchh aur nahin
5- fir OK kar den ya GO TO daba den.
6- uske baad jo page khule usme sabse neeche jaaye.
7- sabse neeche aane par likha hoga>> Use bitmap fonts for complex scripts
8- uske samne NO hoga .......use CLICK karke YES kar den.
9- fir use SAVE kar den.
10- ab kya aapka kaary sampann hua.
11- samooh ka pata daalen ....aur chakachak HINDI (हिन्दी) padhen.
Praveen Trivedi : yadi aapka phone google ke ANDROID par kam karta hai to us par hindi dekhne ke liye uska jugaaad thoda alag hai. nimn step karen: sare apps ANDROID MARKET FREE hain aur vahan se download karne hain:
1-Install Go Keyboard ( http://bit.ly/vxVPoD ) and Go Keyboard Hindi ( http://bit.ly/uBxNCC ) on your mobile
2-Install Fonts for Galaxy /Fontomizer ( http://bit.ly/vLzSrw )
3-Select Akshar TTS font from the List (Hindi) and Install the same, make sure, you have enabled Unknown Sources in the Setting/Application Menu.
4-Enable Akshar TTS as default Font
5-Go to Go Keyboard and Enable Hindi as alternate language (It will install Hindi Dictionary) from http://bit.ly/rVT4aA
6-Now Hindi is visible in Go Keyboard Typing
7-Now You can use Hindi Everywhere
8- To Enable Hindi in SMS, install Go SMS PRO ( http://bit.ly/tzuw0U )
In Setting/Appearance/Scan for Font and select Hindi Font (Akshar TTS or Mangal)
FOLLOW ON NETWORKED BLOGS
KYA AAP APNE MOBILE PAR HINDI PADHNA CHAHTE HAIN?
Reviewed by प्रवीण त्रिवेदी
on
10:46 PM
Rating:
3 comments:
बढ़िया लिखा है
आधे अच्छर कैसे लिखेंगे.... मास्टर जी?
mere symbion mobile mein yeh kaam nahin kar raha...kya kaaran ho sakta hai,
NOKIA 5233
Post a Comment